Friday, October 16, 2009

Kal

Kal na phir ye samaa hoga,
Hum mein se kaun najaane kahaan hoga..?

Murjhaaye phool to mil jaenge kitaabon mein,
Par bicchde Doston ka shayad hi koi pataa hoga….

.........................................

Kismat par etabar kisko hain
Mil jaye khusi inkar kisko hain

Kuch majbooriya hain mere dost
Warana judai se pyar kisko hain

.........................................

Main tod leta agar wo GULAB hoti,
Main jawab banta agar wo SAWAL hoti,

Sab jante hai main nasha nahi karta,
phir bhi pi leta agar wo SHARAB hoti

.........................................

Shaam chirago se saja rakkhi hain..
Shart logo se laga rakkhi hain,

shayad aa jaye koi humse bhi zyada pyasa,
yahi sochkar thodi si bacha rakkhi hain....

.........................................

No comments:

The Economic Season Is About to Drastically Change

I’m not one for panic. Having said that, it’s obvious we have been living in ignorant bliss. The real economic disaster hasn’t begun yet. In...